Categories
Open-Letter

Sushant

Yeh lamha aaj mera nahi …
Shayad aaj main kisi ka nahi..
Aansu girne ke liye nahi ab zameen bachi..
Lgta hai gulshan (aka sushant) teri tarah aaj duniyaa main meri ahmiyat bhi kam hui…

Shikhar ki raahon mein chalte chalte waqt mein gir raha hu …koi to samjhe mujhe isi ummed mein chal raha hu..

Bhai tune to ek baar kaha tha na ki haste rehna, dekh main bhi teri tarah kitaabo ke panno main tujhse baat karne ka zariya dhundh raha hu

Sushant tu khush to hai na wahan….khush kyu nahi hoga yrr tu, apne bholenath jo tere sath hai wahan..

Bhai tune kitna kuch sikhaya..
hamari zindgi ek kitab hai or un kitab ke panno ko tune kya khub sajaaya…

Kehte hai,
Rishtey pakke sirf khoon k nahi hote…
Kaash ek baar toh hum mile hote…

Chal koi na ab tu to aa nhi raha mujhse milne lgta hai mujhe hi aana hoga…
Or haan abki baar bholenath ko keb dena ki abki baar hardik aaye to unhe apne sath dinner pr jaana hoga…

I know, I know ki tu jaha hai abhi vahan tujhe aur bhi sapne lene hai aur un sapno ko jeena hai…
Par tu tension na le, yaha is duniya mein tere sapne kai logo ki aankho main zinda hai…

Aaj toh time kaafi ho gya tu rest kar…kal raat ko milte hai, kuch teri sun ni hai, kuch meri batani hai….
Aur tujhe baaton main uljha kr teri kai kittabe bhi to churani hai😝….

—- 11:34 pm
—- Hardik

Reply with what you felt about this post and our Polymath: