Categories
Open-Letter

Insaan tum bahot ache the

Galtiya toh khoob ki hain tumne
Lekin insaan tum bahot ache the

Kuch galat faisle, kuch galat sathi
Kuch galat dost, kuch galat raste
Lekin insaan tum bahot ache the

Kash ki tum samjh sakte
Ki duniya me 10 the jo tumse mohobbat karte the
Aur 20 jo tumse nafrat karte the
Kash ki tumne un 20 ki na sun ke
Un 10 ki suni hoti

Tumhara na hona kitno ka dil todta hain
Tumko bhanak hain ki nahi?
Doosro ki khoob chinta ki tumne
Par apno ki nahi!

Kuch toh takleefein itni hongi tumko
Jinka hum andaaza bhi na lage sake
Hume maaf kardena dost
Hum tumko samjh hi na sake

Tumhare lautne ka intezaar rahega
Aaj, kal aur humesha
Tab tak ke liye unche asmaano mein
Chamakte rehena chand aur tare jaisa

Kuch ke liye Mansoor,
Toh kuch ke liye Manav ho tum
Kuch ke liye Shiv,
Toh kuch ke Preet ho tum.

Jo bhi ho, jaha bhi ho
Jaise bhi ho insaan tum bahot ache the

Aaj jab duniya mein maut ka keher mandara raha hai
Na jaane kyu tumhari yaad sata rahi hain
Shayad is liye kyunki tumne sabki madat ki
Shayad is liye kyunki insaan tum bahot ache the

Ma kaisi hain? Khush hain tumhare sath?
Ya dukhi hain kyunki tum itni jaldi chale gaye unke pass?
Tumhare papa ke ansu, tumhari beheno ka dard
samjh sakte ho na?
Choro pareshan na ho, unke sath hum hain na!

Tum bas khush raho, sukhi rakho
Pareshan na hona
Bas yeh yaad rakhna humesha
KI INSAAN TUM BAHOT ACHE THE ♥️💫🦋

One reply on “Insaan tum bahot ache the”

It’s so beautifully penned down by the poet/ poetess. Shows how much love this world still holds n how all his loved ones deny to accept dat he z gone. Till d time we r alive, he will stay alive wid us, breathing n beating in us.🥺

Reply with what you felt about this post and our Polymath: