This poem is based on his musings and teachings ❤️
Sitaro ki jagmagati duniya se
Bana hai ye sansaar
Khol ke vo palke uss sitare ko chamakne do
Sapne tumhare baadal Jaise
Sooraj ki roshni Jaise chamakne do
Na Kar khud ko kaid saathi
Neel gagan me udd ja Tu
Khol ke vo band darwaze
Phool Jaise khil ja Tu
Puchle vo sawal saare Sagar se
Baarish Jaise baras ayega vo
Uss mitti ki khushbo Jaise
Mehek uthegi hariyali
Oos ki Tarah saaf Mann ko
Heere sa chamak ne do
Khol ke vo palke
Uss sitare ko chamakne do…
~Karuna
❤️💫✨🦋