Categories
Open-Letter

To the Shining star

Har koyi kisi na kisi ke jaisa
banna chahta hai
Lekin tum toh sirf tum the
Na koyi hai
Na koyi tha aur
Na koyi rahega….

Tumhein Manav ke naam se jaante the hum
Chale gaye Sushant Singh Rajput bankar
Jo naam har kisi ke lafz me hai ab tak

Tum Prem, Manav, Ishaan, Dhoni, Sarfaraz, Mansoor, Byomkesh bakshi aur finally Manny bane
Lekin tumhare jaisa koyi nahi ban sakta
Pucho kyun
Tum toh aise shaks the, haisiyat nahi khairiyat puchne wale…

Naam toh har koyi kamaa leta hai
Mushkil toh dil jeetna hota hai
Tum toh dono kar gaye
Saari duniya keh rahiye ik vaari aa bhi ja yaara

Dekhne gaye the MSD ka biopic
Aagaye SSR ke fan bankar
Har kisi ko laga ke tujhme khoyi rahun mein
Kyun ki kuch toh hai tujhse Raabta

Ek saal ho gya
Yahan har koyi tumhein yaad karta hai
Koi tumhari dreams poora karne me laga hai
Koyi tumhein insaaf dene me
Toh koyi tum jaisa banna chahta hai

Kabhi bhi koyi bhi actor
ke liye aisa mehsoos nahi hua
Jaisa tumhare liye

Maine saare interviews dekhe hai tumhare
Tum kehte the kuch alag karna chahta hun
Lekin pata nahi tha kisi ko
Aisa kuch hoga

I remember in an interview, Interviewer asked you whose life would you like to lead? You said James Dean…

There is a quote-
“If a man can bridge the gap between life and death, if he can live on after he’s dead, then maybe he was a great man.”
– James Dean

Yes, In Dean’s words you were a great man Sushant…. ❤

You are forever immortalized and you live on in the hearts of millions across the world 💥💫❤

Yours,
Rahila

Reply with what you felt about this post and our Polymath: